Monday, September 21, 2009

Mai ne chand aur Sitaron ki tamanna ki thi

Mai ne chand aur Sitaron ki tamanna ki thi
Mujh ko raton ki siyahi ke siwa kuch na mila

Mai wo nagma hon jise pyaar ki mahfil na mili
Wo musafir hon jise koi bhi manzil na mili
Zaqam paye hain baharon ki tamanna kit hi
Mai ne chand aur Sitaron ki tamanna ki thi

Kisi gaisu kisi anchal ka sahara hi nahi
Raste mai koi dhandla sa sitara hi nahi
Meri nazron ne nazaron ki tamanna ki thi
Mai ne chand aur Sitaron ki tamanna ki thi

Dil me nakam ummidon ke basere paye
Roushi lene ko nikla to andhere paye
Rang aur noor ke dharon ki tamanna ki thi
Mai ne chand aur Sitaron ki tamanna ki thi

Jo baat tujh me hai teri tasweer me nahi
Rangon me tera aks dhala na to dhal saki
Dilbar se pyaar ke shararon ki tamanna ki thi
Mai ne chand aur Sitaron ki tamanna ki thi

Duniya me koi cheez nahi hai teri tarah
Phir ek bar aaja samene mere kisi tarah
Apne sanam se mine bahanon ki tamanna ki thi
Mai ne chand aur Sitaron ki tamanna ki thi.

- Loveable Poet                            Keep Comment

Mohababat dukh,dard bharm dhokhe ke siway kuchh nahi

Mohababat dukh, dard bharm dhokhe ke siway kuchh nahi,

Mohababat ek nasha hai,

Pagalpan ke shiway kuchh nahi Mili raste main,

pahle ban jao kabil,

bat kahi Pane ki chhahat main paya bahut kuchh,

par aunt main mila kuchh nahi Wo meri nakhuda hai,

par wo bewafa thi hi nahi Wo mujhse lakh dur hai,

par mujhse juka nahi Banker diwana shahar dar shahar bhatakta raha barso Mila kiya iss chahat main jab wahi hashil nahi Koi subah na aayi,

jo dil par na gujri bojhil Abhi sham bhi na koi,

jo gamjada nahi Kya likha hai kismet main,

jo koi tamanna hoti hai nahi puri Fir bhi main karta,

kismet se koi gila nahi Chaha tha maine unko,

manga unhi ko rab se Kya ghutan,

tadapan ke siwa,

iski aur koi saja nahi Hajaron khat likh dale,

ek khat ke liye Bhatak raha hoon ab tak,

jawab koi mila nahi Dil main chahat hai unki,

abhi bhi hai tamanna Haqiqat ye bhi hai khat likhne ke siwa,

kiya kuchh nahi Apni diwangi ka,

bas ek raham chahta hoon Apni juban se kah de wo, ‘Loveable’ tu mere kabil nahi.

- Loveable Poet                                                          Keep Comment

Sunday, September 20, 2009

Chalo ek bar phir se ajnabi banjaen, hum dono

Chalo ek bar phir se ajnabi banjaen, hum dono
Na mai tum se ummed rakhon dil nawazi ki

Na tum dekho mujhe galat andaz nazron se
Na mere dil ki dhadkan badhe teri baton se

Na zaaher ho teri kashmaksh ka raaz ankhon se
Tumhain bhi koi uljhan rokti hai pesh qadmi se

Mujhe bhi log kahete hai ke ye jalwe paraye hain
Mere humrah bhi ruswaien hain meri marzi ki

Tumhare sath bhi guzri huwi raton ke saye hain
Mere sath bhi guzre huwe zaqmon ke saye hain

Ta’arrfu rog banjaye to uska bholna bahetar
Ta’alluq boj ban jaye to uska tudna bahetar

Wo afsana jise anjam tak lana na mumkin ho
Use ek qobsurat mod dekar chodna bahetar

Chalo ek bar phir se ajnabi banjaen, hum dono…

- Loveable Poet                            Keep Comment

Related Posts with Thumbnails

पुराने ओल्डर पोस्ट

loveable Poet © 2008 JMD Computer Mo: 91 9825892189