Sunday, May 24, 2009

kya muhaabat kaabil nahi

kya muhabbat kisi ke bhi kaabil nahi hai
jab bhi dil jo chahe use haasil nahi hai

rishton ko jodne me lag gayi zindagi
par zindagi me koi bhi shaamil nahi hai

zara si der apne pyar ko dulaar loon
kya "maan" iske bhi kaabil nahi hai

katl kar diya usne meri har tamanna ko
daava kar raha hai wo ki kaatil nahi hai

chala aaya wo meri mazaar ki dehleej pe
meri kabra ka diya ab bhi bojhil nahi hai

- Loveable Poet

0 comments:

Related Posts with Thumbnails

पुराने ओल्डर पोस्ट

loveable Poet © 2008 JMD Computer Mo: 91 9825892189